muskuraati aankhon ko doston ki nam karna ram aise afsane chhod do raqam karna ab kahan wo pahli si fursaten mayassar hain sara din safar karna sari raat gham karna sabr ki riwayat mein jabr ki adalat mein lab kabhi na wa karna sar kabhi na zakhm karna main gunahgaron mein sahab-e-tariqat hun dakhili shahadat par mera sar qalam karna zindagi to sapna hai kaun 'ram' apna hai kya kisi ko dukh dena kya kisi ka gham karna