Dub jaane ke siwa ishq mein chaara hi nahin

dub jaane ke siwa ishq mein chaara hi nahin
is samundar ka kisi samt kinara hi nahin

talkhi-e-zakhm-e-jigar jis ko gawara hi nahin
us ko nawak nigah-e-naz ne mara hi nahin

sunte aate hain ki ek roz qayamat hogi
aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara hi nahin

parda-e-dil se sada yar ki aa hi jati
hum tazabzub mein rahe us ko pukara hi nahin

baz hum aise tasawwur se ki ab tak jis ne
ek naqsha bhi tera thik utara hi nahin

phir shikayat hai mere dil ke tadapne ki abas
tak kar tir koi aap ne mara hi nahin

kya hai dariya-e-mohabbat ke udhar kya malum
teri talwar ne us ghat utara hi nahin

un ki mahfil ki ajab baat hai kya arz karen
tazkira sab ka hai ek zikr hamara hi nahin

mil gai us ki nazar meri nazar se aakhir
ab to dena hi pada dil koi chaara hi nahin

aur bhi dida-e-dil rakhte hain pur-khun hum se
kuchh tere hijr mein ye rang hamara hi nahin

parsai mein hai fard us ki haya ai 'betab'
shauq-alud nazar us ko gawara hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close