gham se na-ahl-e-wafa hashr tak aazad na ho mar ke sau bar ho zinda to kabhi shad na ho is nasheman mein dhara kya hai ki barbaad na ho chaar tinke hon pade aur koi buniyaad na ho kya kaha tha teri aankhon ne nazar milte waqt phir nazar mujh se mila le jo tujhe yaad na ho koi gahak nahin murjhae hue phulon ka kisi sine mein ilahi dil-e-nashad na ho khush ho bulbul ki saza-war-e-asiri thahri wae us par hai ki jis ka koi sayyaad na ho teri aankhon ka jo mara nahin zinda hi nahin hai wahi ain ghalat jis pe tera sad na ho samne aa gai hai manzil-e-pa laghz-e-firaq madad ai ishq koi rah mein uftad na ho jo ghubar uthta hai kahta hai ba-awaz-e-buland sar na is khak ka uncha ho jo barbaad na ho dil shikasta na ho tutega qafas khud 'betab' waqt ki baat hai mumkin nahin aazad na ho