dub kar bhi na pada farq giran-jaani mein main hun patthar ki tarah bahte hue pani mein ye mohabbat to bahut baad ka qissa hai miyan main ne us hath ko pakda tha pareshani mein raftagan tum ne abas dhong rachaya warna ishq ko dakhl nahin maut ki arzani mein ye mohabbat bhi wilayat ki tarah rakhti hai haalat-e-haal mein ye haalat-e-hairani mein is liye jal ke kabhi rakh nahin hota dil ye kabhi aag mein hota hai kabhi pani mein ek mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish' kuchh bade faisle ho jate hain nadani mein