tang aa gae hain ishq mein ab zindagi se hum

tang aa gae hain ishq mein ab zindagi se hum
aae qaza to nazr karen jaan khushi se hum

un ki khushi se badh ke hamein kuchh nahin aziz
dil mal kya hai jaan bhi de den khushi se hum

puchha tha main ne ghair ne kya aap se kaha
bole kisi ki baat kahen kyun kisi se hum

rukhsat ki tujh se maut ne mohlat hamein na di
band aankh kar ke nikle hain teri gali se hum

pursan-e-haal kaun ho badle hue hain bhes
baithe hain un ki bazm hain ek ajnabi se hum

puchho na hum se zist ka lutf aa gaya hamein
jis din se ru-shanas hue be-khudi se hum

hum bhi hain apni waza ke duniya mein ek si
mumkin nahin milap karen muddai se hum

'shad' is tarah se aaj kiya us ne mujh ko 'shad'
dekho to phul ban gae khil kar kali se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close