dub kar par utar gae hain hum log samjhe ki mar gae hain hum ai gham-e-dahr tera kya hoga ye agar sach hai mar gae hain hum khair-maqdam kiya hawadis ne zindagi mein jidhar gae hain hum ya bigad kar ujad gae hain log ya bigad kar sanwar gae hain hum maut ko munh dikhaen kya ya rab zindagi hi mein mar gae hain hum hae kya shai hai nashsha-e-mai bhi farsh se arsh par gae hain hum aarzuon ki aag mein jal kar aur bhi kuchh nikhar gae hain hum jab bhi hum ko kiya gaya mahbus misl-e-nikhat bikhar gae hain hum shadmani ke rang-mahlon mein 'shad' ba-chashm-e-tar gae hain hum