dub ke dekh liya dard ki gahrai mein aaj ki raat guzar jaegi tanhai mein sham-e-dil laya hun ye soch ke mahfil mein teri ho kami kuchh na teri anjuman-arai mein be-sabab hoga mere sath mein ruswa wo bhi nam us ka bhi hai shamil meri ruswai mein baad muddat ke use dekha to ehsas hua har dabi chot ubhar aati hai purwai mein yun to har ek ada hai teri zalim lekin hai qayamat hi qayamat teri angdai mein chaak-daman ki numaish mein ye gham hain mujh ko wo bhi maujud tha us waqt-e-tamashai mein kah do mutrib se 'nazar' saz-e-mohabbat na baja us ki pazeb ki jhankar hai shahnai mein