dubo ke apne lahu mein ye ungliyan ladki likhegi to bhi mohabbat ki dastan ladki mujhe ye dar hai tujhe kirchiyon mein bant na de jo tere waste laya hai chudiyan ladki chura ke le hi na jaen ye rang-o-rup tera gulab-e-dil pe na aane de titliyan ladki ye zakhm-e-hijr to bhar jaega magar is ka tamam umr ko rah jaega nishan ladki ye dilbari jise aasan samajh rahi hai tu har ek mod pe lati hai imtihan ladki meri dua hai ba-har-gam chahaton ka safar tere liye ho sitaron ki kahkashan ladki