ye shahr-e-rafiqan hai dil-e-zar sambhal ke milte hain yahan log bahut rup badal ke aariz hain ki murjhae hue phul kanwal ke aankhen hain ki jhulse hue khwabon ke mahal ke chehra hai ki hai aaina-e-gardish-e-dauran shahkar hain kya kya mere naqqash-e-azal ke farhad sar-e-dar hai shirin sar-e-bazar badle nahin ab tak magar andaz ghazal ke aae hain gham-e-ishq mein aise bhi maqamat dil khun hua aankh se aansu bhi na dhalke duniya bhi ek aamaj-gah-e-husn hai 'shair' dekho to zara hajla-e-jaanan se nikal ke