dubta hun jo hatata hun nazar pani se aur takta hun to chakraata hai sar pani se chand bhi ab nikal aaya ufuq-e-ab ke par mere gharqab badan tu bhi ubhar pani se nama-bar koi nahin hai to kisi lahr ke hath bhej sahil ki taraf apni khabar pani se ye bhi kya kam hai ki tile to hue kuchh hamwar banti jati hai nai rahguzar pani se nahin malum ki bah jaun main kab khas ki tarah yun to mahfuz abhi tak hun 'zafar' pani se