sabza-e-khat hai payambar rukh hai quran-e-bahaar tu hai qibla tu hai kaba tu hai iman-e-bahaar mere rone se hui fasl gulistan-e-bahaar ho gaya mizab-dida mir saman-e-bahaar sarw ko jogi samajh kar fal khulwane lagi kya khizan mein rahte hain bulbul ko arman-e-bahaar shakh-e-gul jumbish kahan karte hain matwalon ki tarah bulbulon ke bose le lete hain mastan-e-bahaar hijr-e-be-ummid-e-waslat mein koi jina bhi hai bulbulon ke hote hain kuchh ahd-e-paiman-e-bahaar sarw ke misre ke mani bulbulon se puchh lo andalibon se suno sharh-e-gulistan-e-bahaar zulf-e-gul ro ke gale mil kar jo aaegi 'nasim' hogi sumbul afi-e-ganj-e-shahidan-e-bahaar