Dubunga kaise main ki ye pani simaT gaya

dubunga kaise main ki ye pani simat gaya
dariya to yar ret ke tilon mein bat gaya

tanhaiyan bhi hath jhatak kar chali gain
main bhi kisi charagh ki lau se lipat gaya

ek roz apna qafila-e-nam dikha diya
phir apne aap dukh ka samundar palat gaya

ek sham zindagi se udasi chali gai
marne ki chah se bhi mera ji uchat gaya

aql-o-khirad pe sach ki siyahi bikhar gai
raushan hua dimagh to dil se lipat gaya

muddat ke ba'd us se mera samna hua
main ne kaha ki kaun to aaina hat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close