huzur pahle nazare banae jate hain

huzur pahle nazare banae jate hain
phir us ke ba'd nazariye banae jate hain

hamein khabar hai ki lahren ujad dengi inhen
hum apni zid mein gharaunde banae jate hain

yahi sabab hai ki main tirgi ka qail hun
main jaanta hun ujale banae jate hain

bana raha hai jo kashti use nahin malum
safar se pahle irade banae jate hain

main sochte hue pahuncha hun us jagah ki jahan
tasawwuraat ke sanche banae jate hain

darakht chhanw musafir safar thakan manzil
tarah tarah ke muamme banae jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close