duhai hai teri tu le khabar o la-makan wale chaman mein ro rahe hain aashiyan ko aashiyan wale bhatak sakte nahin ab karwan se karwan wale nishani har qadam par dete jate hain nishan wale qayamat hai hamara ghar hamare hi liye zindan rahen paband ho kar aashiyan mein aashiyan wale mere sayyaad ka allahu-akbar roab kitna hai qafas mein bhi zaban ko band rakhte hain zaban wale yahi kamzoriyan apni rahen to ai 'qamar' ek din makanon mein bhi apne rah nahin sakte makan wale