zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye

zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye
zindagi dushmanon mein bhi mushkil nahin aadmi mein zara hausla chahiye

hum ko manzil-shanasi pe bhi naz hai aur hum aashna-e-hawadis bhi hain
ju-e-khun se guzarna pade bhi to kya justuju ko to ek rasta chahiye

apne mathe pe bal dal kar hamein shish-mahlon ke andar se jhidki na do
hum bhikari nahin hain ki tal jaenge hum ko apni wafa ka sila chahiye

tum ne aaraish-e-gulistan ke liye hum se kuchh khun manga tha muddat hui
tum se khairaat to hum nahin mangte hum ko is khun ka khun-baha chahiye

hum ko har mod par dost milte rahe hum kabhi rah-e-manzil mein tanha na the
kal gham-e-dost tha ab gham-e-zist hai aashna ko to ek aashna chahiye

meri mano to ek baat tum se kahun ye naya daur hai is ka kya thik hai
doston se milo mahfilon mein magar aastinon ka bhi jaeza chahiye

had se badh kar mohabbat munasib nahin is mein andesha-e-bad-gumani bhi hai
dushmanon se talluq to hai hi ghalat doston mein bhi kuchh fasla chahiye

jurm-e-be-bak-goi ki padash mein zahr 'iqbaal' ko talkhiyon ka mila
us ne is zahr ko hi sukhan kar liya is zamane mein ab aur kya chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close