duje jahan mein mubtala rahta hun har ghaDi

duje jahan mein mubtala rahta hun har ghadi
mujh sa tere jahan mein hoga nahin koi

do-chaar log hi to mere gham-gusar hain
baqi jahan sara mujhe hai ye ajnabi

bo kar do bij lauta nahin koi baghban
ta-umr do darakht ko banjar zamin mili

aawaz koi khinch ke le aai is taraf
warna to ja chuki thi bahut dur zindagi

khush-haal zindagi thi main khush-haal tha bahut
ek dam se ek din meri duniya badal gai

ek raat ek khwab mein main dubta raha
ek subh aai ru-ba-ru tabir tairti

itna bhi khush na baghban ho dekh kar bahaar
aisi bhi ek man hai jo man bhi nahin bani

kuchh der khaksar se mil pai andalib
kuchh der baad ped gira aur mar gai

har shai to ho gai thi muqabil mere magar
taswir ek barha meri taraf rahi

thahro kisi ki aap kya bigdi banaenge
'sohil' janab aap se apni kabhi bani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close