duji wajah se dar wa nahin hai koi hum se rutha nahin hai sar ko apne kya dhanpe hum chhat par hi jab saya nahin hai mujh ko jaana to jaanoge khota sikka khota nahin hai dastak do har duje ghar par har ghar ka dar khulta nahin hai chalte raho tum ye khulne tak jo bhi gaya kyon lauta nahin hai