dukh dard gham hain teri inayat zindagi tu ne nibhain khub riwayat zindagi ek tu niyaz-mand sarapa main be-niyaz milte nahin hain apne khayalat zindagi fitrat mein aadmi ke taghayyur nahin magar insan ko badalte hain haalat zindagi milte rahe hain sare zamane se umr bhar tujh se na jaane kab ho mulaqat zindagi donon ke bich koi talluq nahin hai khas jina hai aur chiz alag baat zindagi aaram se guzarti kuchh din hayat ke sunti kabhi jo tu bhi meri baat zindagi hai mustaar tar-e-nafas se tera wajud is se ziyaada kya teri auqat zindagi sanson ke waste kare dast-e-talab daraaz har roz mujh se mange hai khairaat zindagi auron ke waste hai mujassam takallufat 'aqib' tere liye hai khurafat zindagi