dukh diya hai jis ne dukh usko batana chahiye

dukh diya hai jis ne dukh us ko batana chahiye
dil pe kya guzri hai mere ye sunana chahiye

is andhere ko bahar-surat mitana chahiye
kuchh nahin to ab charagh-e-dil jalana chahiye

farq-e-khas-o-am rindon mein na ai saqi rahe
mai-kada mein daur ek aisa bhi aana chahiye

dekh kar jis ko haqiqat rashk par majbur ho
yun tasawwur ki tarah paikar banana chahiye

bargah-e-mir-o-sultan mein rasai ho na ho
doston ke dil mein ai 'tarzi' samana chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close