KHayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai

khayal-o-fikr ke sab mausamon mein rahti hai
meri nigah ke wo aainon mein rahti hai

wo meri chhoti si gudiya wo jaan se pyari
wajud-e-zat ki sab dhadkanon mein rahti hai

usi ke dam se meri zindagi hararat hai
mere lahu ki sabhi khushbuon mein rahti hai

meri nazar mein wo mausam hai id ka mausam
wo ghar mein aa ke mere jin ruton mein rahti hai

wo nana nani ki aankhon mein chashm-e-mamun mein
har ek nigah mein sab manzaron mein rahti hai

usi ke faiz se ehsas-e-zindagani bhi
wo walwalon mein sabhi hauslon mein rahti hai

so us ki yaad se raushan hai khana-e-hasti
wo mere dil mein meri khwahishon mein rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close