dukh ki diwar girane se rahi

dukh ki diwar girane se rahi
yani main khud ko bachane se rahi

chhod jaegi ye reza kar ke
zindagi sath nibhane se rahi

dil ne socha hai teri wahshat ko
so mujhe nind to aane se rahi

dard hote hi chhalak jaenge
ashk aankhon mein chhupane se rahi

khud hi ahwal samajh le mera
main tujhe dil to dikhane se rahi

dur ho jaen andhere mujh se
aisi qindil jalane se rahi

ab yahan ahl-e-sitam rahte hain
ab main zanjir hilane se rahi

log mahrum-e-samaat hain ‘hira’
haal-e-gham un ko sunane se rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close