dukh sahe dusron ki KHushi ke liye

dukh sahe dusron ki khushi ke liye
ye badi baat hai aadmi ke liye

tab kahin ja ke har su ujala hua
khak shama hui raushni ke liye

fikr-e-bang-e-dara hum ko khud chahiye
qafile kab ruke hain kisi ke liye

jis taraf dekhiye kitne jhute khuda
saf-ba-saf baithe hain bandagi ke liye

ai meri zindagi main ne tera bharam
kho diya lazzat-e-zindagi ke liye

rahaten gham ke baad aati hain ai 'sada'
gham badi chiz hai aadmi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close