dukhe dilon pe jo pad jae wo tabib nazar to bagh-e-dil mein bhi aa jaen andalib nazar har ek subh wazu karti hain meri aankhen ki shayad aaj to aa jae wo habib nazar isi tarah se rah-e-yar ko take jaana had-e-nazar ko gira degi an-qarib nazar tu intizar se chhut kar hai khush magar mujh ko ghadi judai ki aane lagi qarib nazar bujha do sham-e-mohabbat jala do gulshan-e-ishq dara sakegi na aashiq ko ye muhib nazar jamal-o-husn ke qael hain us ke sab 'ajmal' bas ek tum hi yahan rakhte ho ajib nazar