duniya agar jalaegi to kya jalunga main han tum jala rahe ho to achchha jalunga main ashkon ki wo kami ki badan khushk ho chuka is bar jal uthunga to sara jalunga main tum jal nahin sake to hawaen hi rok lo kab tak in aandhiyon mein akela jalunga main hun ashk-bar mujh ko abhi mat jalaiye hoga dhuan ziyaada jo gila jalunga main ab aise kya bataun ye andaza hai mera barsat ke hisab se khasa jalunga main