jinhen nigah uThane mein bhi zamane lage

jinhen nigah uthane mein bhi zamane lage
wo ja-ba-ja meri taswir kyon sajaane lage

hua hai tai wo safar ek jast mein mujh se
ki jis pe panw bhi dharte tujhe zamane lage

tere badan ki tabiat se waqafiyyat hai
main jaan jaun agar mujh se tu chhupane lage

khuda kare ki kahin tujh ko teri fitrat sa
koi mile kabhi phir meri yaad aane lage

ye kaisa hijr hai jis par guman wasl ka ho
tu mere pas rahe jab bhi uth ke jaane lage

ye dil ajib sa dil hai utha ke diwaren
tere khayal ke aate hi un ko dhane lage

tu apni umr ki mahrumiyan mujhe de de
main chahti hun teri ruh muskurane lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close