duniya-e-be-libas hai is intizar mein

duniya-e-be-libas hai is intizar mein
dekhe hamein bhi pairahan-e-tar-tar mein

lata hai kaun shor-e-nafas ko shumar mein
sab ji rahe hain aalam-e-na-paedar mein

bhatke tamam umr to ye munkashif hua
hum harf-e-raegan the khat-e-intishaar mein

aankhen na thin to wo bhi nazar se utar gae
kya kya hasin khwab the is jalwa-zar mein

suraj ne din tamam kiya thak ke so gaya
main ghumta raha magar apne madar mein

wahm-o-guman ki tez hawaen hain mushtail
raushan hai ek charagh dar-e-eatibar mein

kate the us ne shaghl-e-samaat mein raat-din
kya tha hamare tazkira-e-kam-ayar mein

jaen kidhar ki rah koi sujhti nahin
raste mein sab ate hue gard-o-ghubar mein

muddat hui main nind se jaga nahin 'ziya'
kis ne mujhe uchhaal diya tera ghaar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close