duniya-e-mohabbat viran hai bechain dil-e-nakaam nahin pahlu mein nishan-e-zakhm nahin aankhon mein lahu ka nam nahin nazron se mili thin jab nazren barbaadi-e-dil ka khadsha tha aaghaz hi mein hum samjhe the achchha is ka anjam nahin mayus-e-payam ab kan bhi hain mahrum-e-takallum hain lab bhi khamosh hain wo hum bhi chup hain ab silsila-e-paigham nahin barbaad-e-mohabbat kar ke mujhe bekar alam hai kyon tum ko kotahi-e-qismat ka hai gila tum par to koi ilzam nahin paiman-e-wafa tum tod chuke munh ishq se hum bhi mod chuke ab dil mein tumhaari yaad nahin ab lab pe tumhaara nam nahin koyal jo kabhi kuk uthti hai dil mein mere ek huk uthti hai barson hue tark-e-ulfat ko par dil ko hanuz aaram nahin tanha jo kabhi rahta hun 'wali' kuchh dil ki kahi kahta hun 'wali' ab fikr-e-sukhan ka shauq nahin ab bazm-e-sukhan se kaam nahin