gar be-naqab aariz-e-taban kare koi iman ko kufr kufr ko iman kare koi bijli ki ye chamak ye papihon ki pi kahan uf kis tarah basar shab-e-hijran kare koi qatre ko maut aai jo dariya se mil gaya ab kya kisi ke ishq ka arman kare koi hum khak mein mile to mile lekin ai 'wafa' kya faeda ki un ko pasheman kare koi ashkon ne ghar ko ghairat-e-sahra bana diya ab kyon junun mein azm-e-bayaban kare koi uthte hue shabab ki angdai al-aman kyon ab na chaak-chaak gareban kare koi pahlu mein jalwa-gar hai wo kafir-ada 'wali' kis tarah zabt shorish-e-pinhan kare koi