duniya hai tez dhup samundar hai jaise tu bas ek sans aur ki manzar hai jaise tu ye aur baat hai ki bahut muqtadir hun main hai dastaras mein koi to pal bhar hai jaise tu bas chalte chalte mujh ko badan ki rawish mili warna ye sard sham bhi patthar hai jaise tu kya jaane kis sadi ka takalluf hai darmiyan ye roz o shab ki dhul hi behtar hai jaise tu