mera dayar shanasa-e-rang-o-nur nahin agarche shams-o-qamar is nagar se dur nahin jamal-o-paikar-o-andam ki ghataen hain kisi bhi dil pe tajalli-e-koh-e-tur nahin khuda se ishq ki pahli hasin nishani hai wo ek namaz ki jis mein khayal-e-hur nahin hijab-e-mahmil-e-laila ko tu utha na saka ki teri aankh mein didar ka shuur nahin nisab-e-nab-e-husaini meri tamanna hai khitab-e-waiz-o-darwesh mein surur nahin kusha-e-raaz aza-e-husain kaise ho tumhaare qalb mein rasikh mera zabur nahin gham-e-husain mein rota hai la nahin kahta wo jis ka jism adu ke tabar se chur nahin charagh ban ke andheri ruton mein jalta hun siwae is ke mera aur kuchh qusur nahin tulu-e-nur hai 'naqqash' sher-e-agahi ai wa-e-bakht isi sher ko zuhur nahin