duniya hai ye kisi ka na is mein qusur tha do doston ka mil ke bichhadna zarur tha us ke karam pe shak tujhe zahid zarur tha warna tera qusur na karna qusur tha tum dur jab talak the to naghma bhi tha fughan tum pas aa gae to alam bhi surur tha us ek nazar ke bazm mein qisse bane hazar utna samajh saka jise jitna shuur tha ek dars thi kisi ki ye fankari-e-nigah koi na zad mein tha na koi zad se dur tha bas dekhne hi mein thin nigahen kisi ki talkh shirin sa ek payam bhi bainassutur tha pite to hum ne shaikh ko dekha nahin magar nikla jo mai-kade se to chehre pe nur tha 'mulla' ka masjidon mein to hum ne suna na nam zikr us ka mai-kadon mein magar dur dur tha