falak ke na in mah-paron ko dekho jo mitti mein hain un sitaron ko dekho kabhi karwan bhi numudar hoga nigahen jamae ghubaron ko dekho nikal kar kabhi sahr-e-sud-o-ziyan se mohabbat ke ujde dayaron ko dekho chaman mein ye kis chaal se chal rahe ho na phulon ko dekho na kharon ko dekho zaban husn ki mo'atabar kab hui hai kinayon ko samjho ishaaron ko dekho musalleh qataren idhar bhi udhar bhi zara amn ki rah-guzaron ko dekho chaman ki khizan par na aansu bahao nazar hai to kal ki bahaaron ko dekho na dekho darakhton ki duri chaman mein lipatti hui shakh-saron ko dekho zara jhank kar ghurfa-e-mai-kada se taraste labon ki qataron ko dekho kisi ke sitam ko bhi samajhte tawajjoh are in taghaful ke maron ko dekho wo daur-e-hayat-e-jahan aa gaya hai bhanwar mein raho aur kinaron ko dekho badho aur hathon ka ek pal bana lo kinaron se kab tak sawaron ko dekho bina-e-baqa dhamkiyon par fana ki nae jag ke parwardigaron ko dekho kabhi nam-e-'mulla' na aaya zaban tak ye duniya hai 'mulla' ke yaron ko dekho