duniya ka gham hi kya gham-e-ulfat ke samne baatil hai be-wajud haqiqat ke samne hasrat se chup hun main teri surat ke samne jaise gunahgar ho jannat ke samne ruswaiyan hazar hon barbaadiyan hazar parwa kise hai teri mohabbat ke samne ai naz-e-ishq dar-o-rasan ki bisat kya mere wufur-e-shauq-e-shahadat ke samne ai husn-e-be-misal majal aaine ki kya jo aa sake kabhi teri surat ke samne aabaadiyon ko chhod ke khush ho gaya tha main sahra bhi tang hai meri wahshat ke samne lakhon hijab husn ko ghere rahen magar thahre hain kab nigah-e-mohabbat ke samne kitne pahad rah-e-wafa mein kate 'iram' kitne abhi hain aur musibat ke samne