ghubar-e-jaan se sitara nikalna chahta hai ye aasman bhi karwat badalna chahta hai mere lahu ka samundar uchhalna chahta hai ye chand mere badan mein pighalna chahta hai siyah dasht mein imakan-e-raushni bhi nahin magar ye hath andhere mein jalna chahta hai har ek shakh ke hathon mein phul mahkenge khizan ka ped bhi kapde badalna chahta hai bahut kathin hai ki sansen bhi bar lagti hain mera wajud bhi nuqte mein dhalna chahta hai