duniya ka har sitam to gawara kare koi

duniya ka har sitam to gawara kare koi
kis dil se aah tark-e-tamanna kare koi

maujon se aur badhta hai ehsas-e-tishnagi
dariya ko kis nigah se dekha kare koi

aankhon mein koi husn ki taswir hi nahin
aaina kis khayal se dekha kare koi

dekha tha us ko ya ki fareb-e-nazar tha wo
kab tak mazaq-e-did ko ruswa kare koi

sikhi hain kis se husn ne nawak-nigahiyan
andaz-e-dilbari bhi sikhaya kare koi

phulon mein rang aur na ghunchon pe hai shabab
kis dil se gulsitan ka nazara kare koi

hanste hain haal-e-zar pe ahbab ai 'nazir'
gham ka hamare kash mudawa kare koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close