duniya ke har khayal se begana kar diya husn-e-khayal-e-yar ne diwana kar diya tu ne kamal jalwa-e-jaanana kar diya bulbul ko phul shama ko parwana kar diya mashrab nahin ye mera ki pujun buton ko main shauq-e-talab ne dil ko sanam-khana kar diya un ki nigah-e-mast ke qurban jaiye mere junun ko hasil-e-mai-khana kar diya thukrae ya qubul kare us ki baat hai hum ne to pesh jaan ka nazrana kar diya tere khiram-e-naz pe qurban zindagi naqsh-e-qadam ko raunaq-e-virana kar diya mai-khana-e-alast ka wo rind hun 'fana' jis par nigah dal di mastana kar diya