har ek rang dhanak ki misal aisa tha shab-e-visal tumhaara jamal aisa tha hawa ke hath pe chhaale hain aaj tak maujud mere charagh ki lau mein kamal aisa tha main chal pada hun andhere ki ungliyan thame utarti sham ke rukh ka jamal aisa tha zara si der bhi thahra nahin hun maujon mein samay ke bahr mein ab ke uchhaal aisa tha wo sar uthae yahan se palat gaya 'ahmad' main sar jhukae khada hun sawal aisa tha