duniya ke masail se har waqt ghira hona mushkil to bahut hoga duniya ka khuda hona ummid ke daman ko chhoda bhi nahin jata lagta to hai na-mumkin wade ka wafa hona jitni bhi khataen hain ya-rab hain jawani ki jab bas mein nahin hota achchha ki bura hona dashrath ki tarah duniya chhodi bhi nahin jati taklif to deta hai apnon se juda hona bekar banata hai behaal banata hai insan ka apni hi nazron se gira hona ummid hai un ko bhi shayad mere aane ki itna to batana hai darwaze ka wa hona hona to zaruri hai har roz ibaadat ka achchha bhi nahin lagta har roz gila hona kya un ko sikhaega kya un ko banaega talwaron ke sae mein bachchon ka bada hona yaron ki mohabbat hai tera bhi karam ya-rab 'parwaz' se insan ko har shai ka mila hona