ghair se hi kyon gila-shikwa rahe

ghair se hi kyon gila-shikwa rahe
mushkilon mein apna kab apna rahe

ruthne ke waqt ye rakkho khayal
laut kar aane ka kuchh rasta rahe

chahe kuchh bhi ho talluq arsh se
farsh se insan ka rishta rahe

har kisi ke dil mein ho ye aarzu
doston se qad mera uncha rahe

jhuta wada karne ko samjho gunah
chahe haalat kitni bhi khasta rahe

piri mein karne lage hain hujjaten
umr bhar 'parwaz' be-parwa rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close