duniya ki do-rangi dekho to jab ghar mein faqe hote hain

duniya ki do-rangi dekho to jab ghar mein faqe hote hain
wo dekh ke hum ko hanste hain wo dekh ke hum ko rote hain

faiyyaz mili hai wo biwi salana bachche hote hain
kuchh is karwat mein rote hain kuchh us karwat mein rote hain

kuchh nak mein dam iflas se hai kuchh nak mein dam aulad se hai
ek jaanib faqa hota hai ek jaanib bachche hote hain

jo chhoti moti qaumen hain duniya mein maza udati hain
jo khandan ke achchhe hain bhatton pe inten dhote hain

jab raat hoti in bachchon se bas kil-bil kil-bil rahti hai
kuchh jagte hain kuchh sote hain kuchh hanste hain kuchh rote hain

ghaarat hon khuda hajjam kahin napaid kahin ye dhobi hon
ek aana hajamat lete hain ek aana kapda dhote hain

ye hasti bhi kuchh hasti hai ye jina bhi kuchh jina hai
do din khane ko milta hai aur do din faqe hote hain

go lakh nahusat ho ghar mein poshish to saf aur suthri hai
rupya ka sabun la kar hum ghar mein hi kapde dhote hain

ashaar sune jab 'bum' ke kuchh farmaya hum bhi waqif hain
wo chhote khan ke bete hain wo wazir khan ke pote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close