abe sale teri mahfil ka naqsha aur hi kuchh hai wo duniya aur hi kuchh hai ye duniya aur hi kuchh hai shab-e-wada mujhe bahla rahe ho bosa de de kar idhar aao aji meri tamanna aur hi kuchh hai adu thane main baitha wo shifa-khane mein lete hain meri danist mein ye to adanga aur hi kuchh hai mukhalif party pichhle mazaminon ko roti hai hamari shaeri ki aaj duniya aur hi kuchh hai adu ke sath tum jate ho agar cinemaon mein khabar bhi hai tumhein us ka irada aur hi kuchh hai na main boson se raazi hun na raazi hun lipatne se tere sar ki qasam meri tamanna aur hi kuchh hai jo tum kahte ho dushman ko police walon se pitwa do zara thahro abhi mera irada aur hi kuchh hai abe chaaragaron kya faeda hoga dawaon se mere dard-e-mohabbat ka mudawa aur hi kuchh hai wo pankha jhal rahe hain aur adu soya hai khalwat mein samajh mein aa gaya ab to ye ragda aur hi kuchh hai gale mein paejama sar pe jute panw mein topi janab-e-'bum' ka wahshat mein naqsha aur hi kuchh hai