duniya ki kashakash mein phans kar dil-e-gham se bachana padta hai murjhai hui kaliyon ko yahan hans hans ke khilana padta hai yun apni tamanna muztar hai yun apni mohabbat viran hai kante se bichhe hain har jaanib palkon se uthana padta hai kya aalam hai behosh mein bhi wa ahl-e-nazar ki nazren hain mahfil mein kisi ke daman se daman ko bachana padta hai jab chandni shab mein yaad kisi zalim ki nahin jine deti phir raaz-e-mohabbat ghabra kar taron se batana padta hai yun dard ki tisen uthti hain yun sabr ka daman chhutta hai mazi ka fasana phir dil se dar dar ke bhulana padta hai kis tanz se wo farmate hain kya sahl hai ulfat ki manzil yan jaan ganwani padti hai yan ashk bahana padta hai manjdhaar mein apne hathon se 'tasnim' dubo kar aah yahan nakaam mohabbat kashti ko phir par lagana padta hai