tumhaari tishna-nigahi ka ehtiram karen

tumhaari tishna-nigahi ka ehtiram karen
furaat-e-dasht-e-tamanna tumhaare nam karen

ye hijr un ko mila hai unhi ki khwahish par
ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen

tumhaari bazm mein kuchh bhi samajh nahin aata
kise ishaara karen aur kise salam karen

bahut zaruri hai ye dhup talne ke liye
shajar laga ke tere falsafe ko aam karen

mukhalifat bhi maza deti hai agar hum log
mukhalifat ke usulon ka ehtiram karen

tumhaare wasl ki khushiyon mein dil ye karta hai
tumhaare nam par aazad ek ghulam karen

yahi to pahla sabaq hai zamana-gardi ka
baghal mein le ke chhuri munh mein ram ram karen

hisar-e-jaan se bahut unchi ho gai hai 'amir'
fasil-e-jabr girane ka intizam karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close