duniya ki khwahishat mein uljha nahin hun main ud jae jo hawa mein wo tinka nahin hun main bimar un ko dekh ke khamosh ho gaya itna kaha zaban se achchha nahin hun main aata hai mujh ko markaz-e-tauhid ka khayal munh se nikal na jae ki banda nahin hun main har dam yahi dua hai ki betabiyan rahen ye haal ho gaya hai ki apna nahin hun main aasan nahin hai meri haqiqat ko jaanna mil jae jo sabhon ko wo rasta nahin hun main mere hi dam se hai ye mere dil ki bekali apne maraz ka aap mudawa nahin hun main hai aafiyat mein jaan jo milta nahin koi achchha hai ye 'shamim' ki achchha nahin hun main