duniya ki mohabbat mein mila kuchh bhi nahin hai do roz ki zillat ke siwa kuchh bhi nahin hai kahte the ki hum bichhde to mar jaenge donon bichhde hain to donon ko hua kuchh bhi nahin hai insaf ka paimana to hai zinda zamiri behis hun to phir achchha-bura kuchh bhi nahin hai bas meri masihai ko lazim hai tera wasl warna to mere gham ki dawa kuchh bhi nahin hai parda to ek ehsas ki chadar hai mere dost uryani pe kapde ki rida kuchh bhi nahin hai 'waqif' teri koshish ka natija hai muqaddar warna teri qismat mein likha kuchh bhi nahin hai