khulega uqda-e-tauhid meri baat ke sath sifat bhi rahti hai har waqt apni zat ke sath kahin pe bikhri hai tanhai mere kamre mein kahin pe bikhri hain taswiren kaghzat ke sath main us se haar ke har pal duaen mangta hun ki us ki jit bhi ho jae meri mat ke sath wo kal jo lathi ko ek azhdaha banata tha wo moajiza kahin gum hai ajaibaat ke sath ye sara padhna padhana hai pet ka chakkar ki ahl-e-ilm bhi bikte hain parchat ke sath kahin pe din ke charche hain kufr se 'waqif' kahin pe kufr ke charche hain diniyat ke sath