duniya ki riwayat se begana nahin hun chhedo na mujhe main koi diwana nahin hun is kasrat-e-gham par bhi mujhe hasrat-e-gham hai jo bhar ke chhalak jae wo paimana nahin hun rudad-e-gham-e-ishq hai taza mere dam se unwan-e-har-afasana hun afsana nahin hun ilzam-e-junun den na mujhe ahl-e-mohabbat main khud ye samajhta hun ki diwana nahin hun main qael-e-khuddari-e-ulfat sahi lekin aadab-e-mohabbat se to begana nahin hun hai barq-e-sar-e-tur se dil shola-ba-daman sham-e-sar-e-mahfil hun main parwana nahin hun hai gardish-e-saghar meri taqdir ka chakkar mohtaj-e-tawaf-e-dar-e-mai-khana nahin hun kanton se guzar jata hun daman ko bacha kar phulon ki siyasat se main begana nahin hun lazzat-kash-e-nazzara 'shakil' apni nazar hai mahrum-e-jamal-e-rukh-e-jaanana nahin hun