duniya ko jab nazdiki se dekha hai

duniya ko jab nazdiki se dekha hai
tab samjha ye sab kuchh khel-tamasha hai

hathon ki do-chaar lakiren padh kar wo
mujh se bola aage sab kuchh achchha hai

us se bas ek bar mila par hairan hun
dil mein tab se ghar kar ke wo baitha hai

kaghaz par dil ki taswir banai jab
us ne puchha ye kis shai ka naqsha hai

soch raha hun main is ka sauda kar dun
us ki yaadon ka jo dil mein malba hai

donon pahlu mein hi haar chhipi is mein
mere hathon mein ab ye jo sikka hai

is khatir main roz mashaqqat karta hun
aasani se kya hasil ho pata hai

jab qudrat ne thoda aaj nawaza to
sare mujh se puchhe hain tu kaisa hai

'mit' yahan apne to nam ke apne hain
an-jaanon se rishta dil ka gahra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close