kash samajhte ahl-e-zamana kya hai haqiqat kya hai fasana ishq ka shewa husn ki fitrat ek haqiqat ek fasana rah-e-wafa dushwar bahut hai soch samajh kar panw badhana tum na ho jis ke kaun ho us ka jis ke hue tum us ka zamana rahraw-e-rah-e-ishq-o-mohabbat jaan to dena lab na hilana pahlu-e-gul mein khar nihan hain gulchin apna hath bachana hum ne to 'wasfi' paya hai un ko jalwa-ba-jalwa khana-ba-khana