duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake hum jitna chahte the mohabbat na kar sake saman-e-gul-faroshi-e-rahat na kar sake rahat ko hum sharik-e-mohabbat na kar sake yun kasrat-e-jamal ne luti mata-e-did taskin-e-tishna-kaami-e-hairat na kar sake ab ishq-e-kham-kar hi arman ko de jawab hum un ko be-qarar-e-mohabbat na kar sake be-mehriyon se kaam raha go tamam-umr be-mehriyon ko sahne ki aadat na kar sake kuchh aisi iltifat-numa thi nigah-e-dost hote rahe tabah shikayat na kar sake nakaamiyan to farz ada apna kar gain hum hain ki e'tiraf-e-hazimat na kar sake fakhr-e-munasibat mein tera nam le liya hum khud hi parda-dari-e-ulfat na kar sake har-chand haal-e-dida-o-dil hum kaha kiye tashrih-e-kaifiyat-e-mohabbat na kar sake aflak par to hum ne banain hazar-ha tamir koi dahr mein jannat na kar sake hamsaegi-e-zahid-e-bad-khu ke khauf se parwardigar teri ibaadat na kar sake